Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahte The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Zindagi Mein Kya Hamsafar Mile
Par Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehreo Mein Doosron Ke Tumhein Dhondhte Rahe
Soorat Nahi Milli Kahin Seerat Nahi Mili
Bahut Der Se Aaya Tu Mere Paas Kya Kahoon
Alfaaz Dhondne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajjah Na Di Tujhe
Lekin Hamhein Khud Apni Mohabbat Nahi mili
Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili
Hum Ko To Teri Aadat Achhi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

No comments:
Post a Comment