Jai ho, Jai ho, O Patni Rani, Karti ho tum apni man maani
Baat hamari hardam ho talti, hum utarein teri aarti
Tum saman balshali koi jag main nahi dooja
Hum toh hain balheen, tumahari Karen kiss tarah puja
Hum se khana banwane wali, bartan manjwaane wali
Naukar sa hum ko dhutkaarti, O rani, hum utarein teri aarti
Tum bachon ki amma pyaari, saas ki bitiya pyaari
You are the lovable mom of the kids & your mom-in-law
Kabhi agar tum rootho, kar do khatiya khari humari
Hum ko aksar hardkane waali, aankhen dikhane waali
Gussa tum hum par utarti, O rani, hum utarein teri aarti
Dhoop deep kuch tumhe na sohe gar kapoor baati,
Creame powder wali, lakhi lakhi tum kafi harshati
Yun toh lagti ho bholi bhaali, lekin tum ho ek du-naali
Boli ki goli hardam marti ho, O rani, hum utarein teri aarti
Pati-Patni ke es jag mein hai wahi purana nataa
Baithi baithi khati patni, pati din-raat kamata
Nish din mauj urane wali, humko tarsane wali
Saari kamai tum aakarti ho, O rani, hum utarein teri aarti
Ye saari dhan-daulat teri, tera chandi sona,
Hum toh kewal itna chaahe, tu naraj na hona
Hum ko ullu banane waali, ghar ki hey Laxmi aali,
Sewak ko kahe phatkarti, O rani, hum utarein teri aarti