Dard Bhari Shayari..

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha

Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.

Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga

Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Kisi ki kishtiyon ko kinara nahin milta,
Kisi ko dhoodne se sahara nahin milta,
logo ki khushiyan bhi apni
Hamaien to gham bhi hamara nahin milta.

Her insaan kay ache naseeb nahi hote
Her insaan khuhiyon kay kareeb nahi hote
kuch aise bhi hain jo patay hai mohabbat
her insaan mujh jaise badnaseeb nahi hote

Aag jo dil main lagi hai
Usay duniya main laga doon main
Jo teri doli uthi kaheen aur
Zamanay ko jala doon main

Kyon banati ho rait ka mahal
Jis ko ek roze khud mita dogi tum
Aaj kehti ho is diljalay say hai mohabbat
Kal mera naam tak bhool jaogi tum

Hamain to loot liya apno nay
Parayo main kahan dum tha
Meri kishti wahan jaa kay doobi
Jahan paani bhi kam tha

Woh aaye hamari qabar per
Diya bujha ker chal diye
Nishaan to mita hi diya tha
Rooh ko bhi rula ker chal diye

Mere hum-nafas mere hum-nawaaz
mujhay dost ban ke dagaa naa de
Main hun dard-e-ishq ka maaraa huaa
mujhay zindagi ki duaa naa de.....

Kabhie Kisi Roz Yoon Bhi Hota,
Haamari Halat Tumahri Hoti
Jo Raatein Hum Ne Guzaari Mar Ke,
Vo Raatein Tumne Guzaari Hoti

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

Kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge
hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge
jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge

Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale

Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena

Yeh ladki jawani main, jawani se, jawano ko tarpaye gi
Aankhon se karegi qatal, aur labon se muskaraye gi

Raat itni haseen thi
Ke saare so rahe the
Hum hi aise badnaseeb the
Jo aap ki yaad main ro rahe the

No comments: