SUHAAG KI RAAT

Kaisi thi wo raat, kuch kaha sakta nahi main,
chahoon kahana to bayan kar sakta nahi main.
dulhan banke meri jab wo bahon me aaye thi,
sej saji thi phoolon ki, par usne mahakai thi

ghoongat me ek chand tha, aur sirf tanhai thi,
aawaz dil ke dhadakne ki bhi phir zor se aaye thi.
pyar se jo maine ghoongat chand par se hataya tha,
pyar ka rang bhi utar kar uske chehre par aaya tha
bahon me lekar usko, phir labon ki lali churai thi,
us sard raat me saanse bhi shola ban kar takrai thi
tika, bindi, kangan, payal sabne shor machaya tha,
jab uske shokh badan ko maine apna hath lagaya tha
doob gaye the hum-wo dahaki si pyar ki aag me,
tod diya tha humne kaliyon ko uske pyar ke baag me
kya batlayen ab hum wo raat meri kis kadar nirali thi,
humari SUHAAG ki wo RAAT, jo itni matwali thi.

Wo raat bade naseebo se ayi thi,
muddato ke baad wo hasheen ghadi aayi thi,
intzaar bhi thak gya uske liye
har raat uski chah mein doob ke bitaayi thi,
machalti rahi yu akele sard raato mein
jaise koi machhli paani se bahar chali aayi thi,
ab ja ke chain mila in baichen dhadkani ko
jab unke seene se mere naam ki aawaj aayi thi,
har kor jism ki un ke rag mein rangee hai
jabse Wo "suhaag raat" unke saath manaayi thi,

Wo raat bade naseebo se ayi thi,
muddato ke baad wo hasheen ghadi aayi thi,
intzaar bhi thak gya uske liye
har raat uski chah mein doob ke bitaayi thi,
machalti rahi yu akele sard raato mein
jaise koi machhli paani se bahar chali aayi thi,

ab ja ke chain mila in baichen dhadkani ko
jab unke seene se mere naam ki aawaj aayi thi,
har kor jism ki un ke rag mein rangee hai
jabse Wo "suhaag raat" unke saath manaayi thi,
Har raat hum, tere sath bitana chahte hain,
har raat humari, yaadgar banana chahte hain
tu bani rahe yun hi mere chaman ka gul,
hum banke bhanwra har raat tujhe khilana chahte hain.
tu yun hi machle, ab bhi sard raaton main,
hum banke aanch tujhe aur bhadkana chahte hain.

lipti rahe tu meri baahon ke jhoole main,
hum dil ki dor se tujhe jhulana chahte hain
bad jaye teri yeh baicheni, tadpan yeh teri,
is tadpan ko har raat hum mitana chahte hain
kabhi poori na ho yeh meri pyar bhari raat,
har raat hum teri, SUHAAG ki RAAT banana chahte hain.

No comments: