~~ TeRi YaaD ~~

Zindagi ka har ek pal kiya hai tere naam maine...,
teri chaukhat pe aaya thha, bas itna hi main kehnay,
kya tha wo jo teri ankho me maine dekha,
laakh chupao tum, mujhse kuch na chupega,
pyar kiya hai tujhse, teri ankho ko samajhta hoon,
yunhi nahi daawa tujhse pyar karne ka karta hoon,
tumhari zuban se lekar tumhari khamoshi tak ko chaha hai,
pyar main maine tujhse kabhi kuch bhi nahi maanga hai......,
main jaanta hoon tumne mujhse kabhi pyaar nahi kiya,
isiliye shayad maine kabhi izhaar bhi nahin kiya.....,

**********************************************************

Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha
Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge kabhi socha na tha
Zamane se tanha hi takrayen ge kabhi socha na tha
Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the
Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha
Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai
Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha

*******************************************************

Jab Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhoon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Toofan Utha Kartay Thay
Loog Aatay Thay Ghazal Sunanay Ko
Hum Teri Baatien Kia Kartay Thay
Sach Samajhtay Thay Terey Wadoon Ko
Raat Din Ghar Main Raha Kartay Thay
Woh Bhi Kya Din Thay Tujhay Bhula Kar
Hum Tujhay Yaad Kya Kartay Thay
Kal Tujhay Dekh Kar Yaad Aya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kia Kartay Thay

No comments: