Agar Izazat Ho To Hum Bhi Kuch Kahe

In andheri raaton me
Hume tum awaaz mat do
Khawab me aane ka
Hume tum dawaat mat do

Tumhara dil itna buland nahin
Humare pyar ka bhojha utha sake
Tumhare baahein itne fauladi nahin
Humara astitva chupa sake

In pyar ki nazaron ne
Tere aham ko nahin dekha
Lekin tumhare swaroop ko saraha
Jo tumne khud nahin dekha

Ab yeh diya bina tel ke
Jale bhi to kab tak
Yeh aansoo bina ashkon ke
Chalke bhi to kab tak

Prabhu tumhare banaye insaan pe
Aasra kare wah pagal hai
Ek tuhi sab ke palan haar
Sab ke jeewan ka khewan haara hai

Kaun kehta hai Dost tumse hamari Judaai hogi,
Ye Khabar kissi aur ne Udaai hogi,
Shaan se rahenge aapke Dil mae hum,
Itne mail mae Humne kuchh toh Jagah banaai hogi.

dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata,
humse tuta hua sisa dekha nahi jata,
apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe,
aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata

No comments: