Talaash karo

Talaash karo koyi tumhe mil jayega
Magar humari tarah tumhe kaun chahega
Zaroor koyi chahat ki nazar se tumhe dekhega
Magar hamara dil kahan se layega

Mohabbat ki shamma jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazaren milake to dekho

aap gairo ki baat karte ho
humne apno ko aazmaya hain
log kaanton se bachkar chalte hain
humne phoolo se zakhm khaaya hain

Tapish Suraj Ki Hoti Hai,
Jalna Zameen Ko Padta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai,
Tadapna Dil Ko Padta Hai

Koyi chiz hai meri khoyi hui si
Sapno ki duniya hai soyi hui si
Na jao yaar mere, in hoto ki muskuraahat pe
Ye nami aakhen hai meri kuch royi hui si

Aaj koyi esi unhoni baat ho gayi
Maut ke darwaze par
Zindagi se mulaakaat ho gayi

Aansun se palke bhigo leti hoon
Yaad teri aati hai to ro leti hoon
Socha ki bhula doon tujhe magar,
Har baar faisla badal deti hoon

Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi
Mujhe pavon main bandhi zanzeer nazar ayi
Teri yaad main nikal pade mere aansu
Har aansu main teri tasweer nazar ayi

Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay


ye dil kisi ki yaad main rona fuzul hai
aansoo bada anmol hai inhe khona fuzul hai
ro to unke liye jo ham par nisaar hai,
unke liye kya rona jinke liye ham fuzul hai

dosti hoti hai dile raaz chupane ke liye
ham apni hansti mita de tumhe paane ke liye
milne ki tumhe fursat nahi
to ham sher likhte hai apni yaad dilane ke liye

dosti ke bhi kuch andaaj hote hai
jagti ankho main bhi kuch khowab hote hai
zaroori nahi ki gam main aansoo nikale
muskati ankho main bhi saylaab hote hai

dosti to ek etfaak hai
ye do dilo ki mulakaat hai
dosti nahi dekhti din hai ki raat
is main to sirf wafa dari aur jasbaat hai

Via: Puja.

No comments: